“Zara-Zara”

Zara se hum khafaa tumse
Zara se tum khafaa humse
Ab iss zara-zara mein
Baat ki shuruaat kare kaun?

Aaj hai zara-zara si dooriyaan
Zara-zara si dooriya daraar mein badlegi
Ho sakta hai daraar khai mein badle
Fir bharne ki shuruaat krega kaun??

Zara-zara sa ego mujhme hai
Zara-zara sa ego tumme bhi hai
Ab zara-zara ke chakkar mein rahe to
Ab ise khatm karegaa kaun???

Zara si zindagi tumhe mili hai
Or zara si zindagi humein mili hai
Ab is zara-zara ki ladai mein
Zindagi jiyega kaun????

Written Date :- 12 Apr 2018

Pub. Date :- 17 Apr 2018

Shabdsiyapaaa©

Author: Shabd Siyapaa

6 thoughts on ““Zara-Zara”

Comments are closed.